bhuli-bisri yaadon ko lipTae hue hun
bhūlī-bisrī yādoñ ko lipTā.e hue huuñ
TuuTā jaal samundar par phailā.e hue huuñ
vahshat karne se bhī dil bezār huā hai
dasht o samundar āñchal meñ simTā.e hue huuñ
vo ḳhushbū ban kar aa.e to be-shak aa.e
maiñ bhī dast-e-sabā se haath milā.e hue huuñ
TūTe-phūTe lafzoñ ke kuchh rañg ghule the
un kī mehñdī aaj talak bhī rachā.e hue huuñ
jin bātoñ ko sunñā tak bār-e-ḳhātir thā
aaj unhīñ bātoñ se dil bahlā.e hue huuñ
bhuli-bisri yaadon ko lipTae hue hun
TuTa jal samundar par phailae hue hun
wahshat karne se bhi dil bezar hua hai
dasht o samundar aanchal mein simTae hue hun
wo KHushbu ban kar aae to be-shak aae
main bhi dast-e-saba se hath milae hue hun
TuTe-phuTe lafzon ke kuchh rang ghule the
un ki mehndi aaj talak bhi rachae hue hun
jin baaton ko sunna tak bar-e-KHatir tha
aaj unhin baaton se dil bahlae hue hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.