bhulna jab bhi tujhko chaha hai
bhūlnā jab bhī tujh ko chāhā hai
tū mire paas lauT aayā hai
mujh ko darkār apnī thī mid.hat
is talab meñ hī sab gañvāyā hai
us ko DhūñDā galī galī maiñ ne
vo jo dil meñ mire samāyā hai
tū banegā mirā hī bil-āḳhir
dil ko is baat par manāyā hai
hai ajab rāsta mohabbat kā
jis pe na peḌ hai na saaya hai
bhulna jab bhi tujh ko chaha hai
tu mere pas lauT aaya hai
mujh ko darkar apni thi midhat
is talab mein hi sab ganwaya hai
us ko DhunDa gali gali main ne
wo jo dil mein mere samaya hai
tu banega mera hi bil-aKHir
dil ko is baat par manaya hai
hai ajab rasta mohabbat ka
jis pe na peD hai na saya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.