bhulo sabhi mujhe mere pyaro nahin raha
bhūlo sabhī mujhe mire pyāro nahīñ rahā
ab maiñ kisī ke kaam kā yaaro nahīñ rahā
jis ke sumoñ kī dhuul safā kā ġhubār thī
markab vo mere shāh-savāro nahīñ rahā
charḳhe samet chāñd kī buḌhiyā guzar ga.ī
vo chāñd merī aañkh ke taaro nahīñ rahā
tasvīr ke bharam meñ musavvir se mil liye
manzar kā e'tibār nazāro nahīñ rahā
sab hosh-mand apne sahāre nikal paḌe
phir be-sahārā koī sahāro nahīñ rahā
bhulo sabhi mujhe mere pyaro nahin raha
ab main kisi ke kaam ka yaro nahin raha
jis ke sumon ki dhul safa ka ghubar thi
markab wo mere shah-sawaro nahin raha
charKHe samet chand ki buDhiya guzar gai
wo chand meri aankh ke taro nahin raha
taswir ke bharam mein musawwir se mil liye
manzar ka e'tibar nazaro nahin raha
sab hosh-mand apne sahaare nikal paDe
phir be-sahaara koi sahaaro nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.