bhulte jate hain yaadon mein samane wale
bhūlte jaate haiñ yādoñ meñ samāne vaale
jaise ab vāqa.ī ruḳhsat hue jaane vaale
saa.e ke vāste ta.amīr kareñge phir log
dhuup ke vāste dīvār girāne vaale
rā.egāñ ahd-pas-e-ahd ga.ī qurbānī
ḳhūñ-bahā le ga.e ḳhud ḳhuun bahāne vaale
vaqt ko saath liye aa.e yahāñ tak ham hī
ho ga.e log hamīñ agle zamāne vaale
ye jahāñ ek baḌe khel kā pas-manzar hai
sab nazar aate haiñ kirdār fasāne vaale
yā to suqrāt hai ab maslahatan muhr-ba-lab
log hī mar ga.e yā zahr pilāne vaale
jo zamāne kī samā.at pe girāñ lagtī hai
ham to 'shaukat' haiñ vahī baat sunāne vaale
bhulte jate hain yaadon mein samane wale
jaise ab waqai ruKHsat hue jaane wale
sae ke waste tamir karenge phir log
dhup ke waste diwar girane wale
raegan ahd-pas-e-ahd gai qurbani
KHun-baha le gae KHud KHun bahane wale
waqt ko sath liye aae yahan tak hum hi
ho gae log hamin agle zamane wale
ye jahan ek baDe khel ka pas-manzar hai
sab nazar aate hain kirdar fasane wale
ya to suqraat hai ab maslahatan muhr-ba-lab
log hi mar gae ya zahr pilane wale
jo zamane ki samaat pe giran lagti hai
hum to 'shaukat' hain wahi baat sunane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.