bhulun tumhein wo bashar nahin hun
bhūlūñ tumheñ vo bashar nahīñ huuñ
itnā bhī be-ḳhabar nahīñ huuñ
allāh re fart-e-kāhish-e-tan
har-chand ki huuñ magar nahīñ huuñ
dikhlā.ī na duuñ ye ġhair-mumkin
kuchh aap kī maiñ kamar nahīñ huuñ
behāl kahe na jaane dūñgā
āshiq huuñ nāma-bar nahīñ huuñ
bhulun tumhein wo bashar nahin hun
itna bhi be-KHabar nahin hun
allah re fart-e-kahish-e-tan
har-chand ki hun magar nahin hun
dikhlai na dun ye ghair-mumkin
kuchh aap ki main kamar nahin hun
behaal kahe na jaane dunga
aashiq hun nama-bar nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.