bichha hua koi tanhaiyon ka jal na tha
bichhā huā koī tanhā.iyoñ kā jaal na thā
tire firāq se pahle ye ghar kā haal na thā
thake to yuuñ ki hameñ aarzū thī saa.e kī
sa.ūbatoñ se safar kī badan niDhāl na thā
kuchh aise moḌ pe bichhḌe the ham mohabbat meñ
mujhe bhī rañj use bhī koī malāl na thā
nigāh tū ne kisī aur hī pe kī hotī
jo ham shikasta diloñ kā tujhe ḳhayāl na thā
kabhī kabhī koī bādal baras bhī jaatā thā
zamīn-e-shahr kā itnā burā to haal na thā
chhupā huā mirā dushman thā ḳhud mire andar
so apne-āp se bachne kā kuchh savāl na thā
ga.e dinoñ kā tujhe dhyān tak nahīñ 'ḳhāvar'
tirā vo ishq yahī hai jise zavāl na thā
bichha hua koi tanhaiyon ka jal na tha
tere firaq se pahle ye ghar ka haal na tha
thake to yun ki hamein aarzu thi sae ki
saubaton se safar ki badan niDhaal na tha
kuchh aise moD pe bichhDe the hum mohabbat mein
mujhe bhi ranj use bhi koi malal na tha
nigah tu ne kisi aur hi pe ki hoti
jo hum shikasta dilon ka tujhe KHayal na tha
kabhi kabhi koi baadal baras bhi jata tha
zamin-e-shahr ka itna bura to haal na tha
chhupa hua mera dushman tha KHud mere andar
so apne-ap se bachne ka kuchh sawal na tha
gae dinon ka tujhe dhyan tak nahin 'KHawar'
tera wo ishq yahi hai jise zawal na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.