bichha rakkhun main aankhen rahguzar mein
bichhā rakkhūñ maiñ āñkheñ rahguzar meñ
kabhī aa jaa.eñ shāyad mere ghar aap
hamārā dil nahīñ qaabū meñ rahtā
adā se dekhte haiñ jab idhar aap
ḳhabar saare zamāne kī hai lekin
hamāre haal se haiñ be-ḳhabar aap
kahā māneñ gale ham ko lagā leñ
hamārī zindagī chāheñ agar aap
bichha rakkhun main aankhen rahguzar mein
kabhi aa jaen shayad mere ghar aap
hamara dil nahin qabu mein rahta
ada se dekhte hain jab idhar aap
KHabar sare zamane ki hai lekin
hamare haal se hain be-KHabar aap
kaha manen gale hum ko laga len
hamari zindagi chahen agar aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.