bichhaD gaya hai to tujhko muaf karte hain
bichhaḌ gayā hai to tujh ko muaaf karte haiñ
hameñ to ishq thā ye e'tirāf karte haiñ
tū paas thā to faqat tere ird-gird the ham
ki jis tarah ye patange tavāf karte haiñ
chalā gayā hai to ab tere ehtirām meñ ham
tirī galī tire kūche ko saaf karte haiñ
jo tere qurb kī garmī nahīñ muqaddar meñ
so shab ko apne badan par lihāf karte haiñ
ab intizār meñ baiThe hue haiñ sunñe ko
tire vo harf jo dil meñ shigāf karte haiñ
tire sabab hī ġhazal meñ hai tāzgī paiham
suḳhan meñ roz nayā inkishāf karte haiñ
bichhaD gaya hai to tujh ko muaf karte hain
hamein to ishq tha ye e'tiraf karte hain
tu pas tha to faqat tere ird-gird the hum
ki jis tarah ye patange tawaf karte hain
chala gaya hai to ab tere ehtiram mein hum
teri gali tere kuche ko saf karte hain
jo tere qurb ki garmi nahin muqaddar mein
so shab ko apne badan par lihaf karte hain
ab intizar mein baiThe hue hain sunne ko
tere wo harf jo dil mein shigaf karte hain
tere sabab hi ghazal mein hai tazgi paiham
suKHan mein roz naya inkishaf karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.