bichhaD gaya tha to us ka KHayal kyon aaya
bichhaḌ gayā thā to us kā ḳhayāl kyoñ aayā
yahī to dukh hai ki shīshe meñ baal kyoñ aayā
na.ī kiran se abhī āshnā huī thī zamīñ
javāñ thā mahr ye is par zavāl kyoñ aayā
jab ek barg na ashjār-e-ārzū pe rahā
to mast mausam-e-bād-e-shumāl kyoñ aayā
har aarzū huī kyoñ us kī bazm meñ ghāyal
har ek ḳhvāb vahāñ se niDhāl kyoñ aayā
agar nahīñ hai tujhe rañj bevafā.ī kā
to tere lahje meñ itnā malāl kyoñ aayā
bichhaD gaya tha to us ka KHayal kyon aaya
yahi to dukh hai ki shishe mein baal kyon aaya
nai kiran se abhi aashna hui thi zamin
jawan tha mahr ye is par zawal kyon aaya
jab ek barg na ashjar-e-arzu pe raha
to mast mausam-e-baad-e-shumal kyon aaya
har aarzu hui kyon us ki bazm mein ghayal
har ek KHwab wahan se niDhaal kyon aaya
agar nahin hai tujhe ranj bewafai ka
to tere lahje mein itna malal kyon aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.