bichhaD kar ab zara aazar khincho
bichhaḌ kar ab zarā āzār khīñcho
tum apne dil meñ ik dīvār khīñcho
bhalā logoñ se kaisā Dar chalo bhī
koī dāman sar-e-bāzār khīñcho
hayāt apnī safar hai ik musalsal
uTho pairoñ se apne ḳhaar khīñcho
mohabbat jis tarah chāho jatāo
magar ye kyā mire ruḳhsār khīñcho
mire hāthoñ meñ gul haiñ aur faqat gul
mire yaaro na tum talvār khīñcho
are 'sā.in' nashe se faiz paao
chalo vaa.iz kī ab dastār khīñcho
bichhaD kar ab zara aazar khincho
tum apne dil mein ek diwar khincho
bhala logon se kaisa Dar chalo bhi
koi daman sar-e-bazar khincho
hayat apni safar hai ek musalsal
uTho pairon se apne KHar khincho
mohabbat jis tarah chaho jatao
magar ye kya mere ruKHsar khincho
mere hathon mein gul hain aur faqat gul
mere yaro na tum talwar khincho
are 'sain' nashe se faiz pao
chalo waiz ki ab dastar khincho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.