bichhaD ke bhi mila ruswaiyon ka qahr tujhe
bichhaḌ ke bhī milā rusvā.iyoñ kā qahr tujhe
chhupā sakā na tire āñsuoñ kā shahr tujhe
ye chaḌhtī dhuup kā malbūs utaar de sar-e-shām
utartī dhuup meñ ab dekhtā hai shahr tujhe
har ek sail-e-sadā ko tū kar gayā pāyāb
Dubo sakī na mirī chāhatoñ kī nahr tujhe
bikhartī kirnoñ ko āñgan meñ thāmne vaale
mah-e-tamām kā piinā paḌegā zahr tujhe
tū chhoḌ aayā jise Dūbte jazīre meñ
dikhā.ī degā vahī chehra lahr lahr tujhe
badan ko toḌ ke bāhar nikal bhī aa kisī shab
hisār-e-jism meñ jiine na degā dahr tujhe
'musavvir' us kā mudāvā bhī tū ne kuchh sochā
vo rog jo liye phirtā hai shahr shahr tujhe
bichhaD ke bhi mila ruswaiyon ka qahr tujhe
chhupa saka na tere aansuon ka shahr tujhe
ye chaDhti dhup ka malbus utar de sar-e-sham
utarti dhup mein ab dekhta hai shahr tujhe
har ek sail-e-sada ko tu kar gaya payab
Dubo saki na meri chahaton ki nahr tujhe
bikharti kirnon ko aangan mein thamne wale
mah-e-tamam ka pina paDega zahr tujhe
tu chhoD aaya jise Dubte jazire mein
dikhai dega wahi chehra lahr lahr tujhe
badan ko toD ke bahar nikal bhi aa kisi shab
hisar-e-jism mein jine na dega dahr tujhe
'musawwir' us ka mudawa bhi tu ne kuchh socha
wo rog jo liye phirta hai shahr shahr tujhe
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 69)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.