bichhaD ke bhi na mohabbat mein kuchh kami aai
bichhaḌ ke bhī na mohabbat meñ kuchh kamī aa.ī
vo jab bhī royā mirī aañkh meñ namī aa.ī
ab is maqām pe pahuñchī hai shā.irī merī
ki shā.iroñ ke bhī lab pe ġhazal mirī aa.ī
abhī to duur ho shohrat kī bhī rasā.ī se
abhī se aap ke tevar meñ kajravī aa.ī
tumhāre zikr se dil kī chhuTī hai tārīkī
tumhāre dhyān se āñkhoñ meñ raushnī aa.ī
kaTe kaTe hue rahte haiñ ab mire mujh se
mire maqām meñ 'kashfī' jo bartarī aa.ī
bichhaD ke bhi na mohabbat mein kuchh kami aai
wo jab bhi roya meri aankh mein nami aai
ab is maqam pe pahunchi hai shairi meri
ki shairon ke bhi lab pe ghazal meri aai
abhi to dur ho shohrat ki bhi rasai se
abhi se aap ke tewar mein kajrawi aai
tumhaare zikr se dil ki chhuTi hai tariki
tumhaare dhyan se aankhon mein raushni aai
kaTe kaTe hue rahte hain ab mere mujh se
mere maqam mein 'kashfi' jo bartari aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.