bichhaD ke donon ke zehnon pe bojh paDta hai
bichhaḌ ke donoñ ke zehnoñ pe bojh paḌtā hai
raheñ jo saath to āñkhoñ pe bojh paḌtā hai
phaloñ ke hone se shāḳheñ faqat lachaktī haiñ
phaloñ ke girne se shāḳhoñ pe bojh paḌtā hai
tumhāre zikr kī aadat huī hai aisī inheñ
kuchh aur boleñ to hoñToñ pe bojh paḌtā hai
bas ek chehre ko sapne meñ dekhne ke liye
tamām umr kī nīñdoñ pe bojh paḌtā hai
'azīm' duur ke rishtoñ ko duur rakkhā kar
vagarna paas ke rishtoñ pe bojh paḌtā hai
bichhaD ke donon ke zehnon pe bojh paDta hai
rahen jo sath to aankhon pe bojh paDta hai
phalon ke hone se shaKHen faqat lachakti hain
phalon ke girne se shaKHon pe bojh paDta hai
tumhaare zikr ki aadat hui hai aisi inhen
kuchh aur bolen to honTon pe bojh paDta hai
bas ek chehre ko sapne mein dekhne ke liye
tamam umr ki nindon pe bojh paDta hai
'azim' dur ke rishton ko dur rakkha kar
wagarna pas ke rishton pe bojh paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.