bichhaD ke koi mile to KHushi si lagti hai
bichhaḌ ke koī mile to ḳhushī sī lagtī hai
ye zindagī na sahī zindagī sī lagtī hai
vo shaam jo kabhī dīvāna-vār aa.ī thī
vo shaam aaj mujhe ajnabī sī lagtī hai
ajiib baat hai in surma.ī añdheroñ meñ
maiñ jab bhī dekhūñ mujhe raushnī sī lagtī hai
ajab talab hai tirī tishnagī nahīñ jaatī
tū mil bhī jaa.e to terī kamī sī lagtī hai
bichhaD ke koi mile to KHushi si lagti hai
ye zindagi na sahi zindagi si lagti hai
wo sham jo kabhi diwana-war aai thi
wo sham aaj mujhe ajnabi si lagti hai
ajib baat hai in surmai andheron mein
main jab bhi dekhun mujhe raushni si lagti hai
ajab talab hai teri tishnagi nahin jati
tu mil bhi jae to teri kami si lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.