bichhaD ke mujhse wo kab chain se raha hoga
bichhaḌ ke mujh se vo kab chain se rahā hogā
kabhī to us ne mujhe yaad bhī kiyā hogā
lipaT ke royā bhī hogā vo mere qāsid se
tamām haal mirā us ne jab sunā hogā
mire qalam kī ye ḳhushbū bhī jab uḌī hogī
vo harf-e-haq kī himāyat meñ aa gayā hogā
karāhne kī sadā hogī āsmānoñ meñ
ki tiir khā ke parinda koī girā hogā
jo ahl-e-haq haiñ sadā bolte to haiñ 'rahbar'
unheñ bhī sun ke to andāza ho gayā hogā
bichhaD ke mujh se wo kab chain se raha hoga
kabhi to us ne mujhe yaad bhi kiya hoga
lipaT ke roya bhi hoga wo mere qasid se
tamam haal mera us ne jab suna hoga
mere qalam ki ye KHushbu bhi jab uDi hogi
wo harf-e-haq ki himayat mein aa gaya hoga
karahne ki sada hogi aasmanon mein
ki tir kha ke parinda koi gira hoga
jo ahl-e-haq hain sada bolte to hain 'rahbar'
unhen bhi sun ke to andaza ho gaya hoga
- Book : Aao Raushni Karlen (Pg. 29)
- Author : Rahbar Pratapgarhi
- Publication : Maktaba Ahsan,Lucknow (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.