bichhaD ke mujhse ye mashghala iKHtiyar karna
bichhaḌ ke mujh se ye mashġhala iḳhtiyār karnā
havā se Darnā bujhe charāġhoñ se pyaar karnā
khulī zamīnoñ meñ jab bhī sarsoñ ke phuul mahkeñ
tum aisī rut meñ sadā mirā intizār karnā
jo log chāheñ to phir tumheñ yaad bhī na aa.eñ
kabhī kabhī tum mujhe bhī un meñ shumār karnā
kisī ko ilzām-e-bevafā.ī kabhī na denā
mirī tarah apne aap ko sogvār karnā
tamām va.ade kahāñ talak yaad rakh sakoge
jo bhuul jaa.eñ vo ahd bhī ustuvār karnā
ye kis kī āñkhoñ ne bādaloñ ko sikhā diyā hai
ki sīna-e-sañg se ravāñ ābshār karnā
maiñ zindagī se na khul sakā is liye bhī 'mohsin'
ki bahte paanī pe kab talak e'tibār karnā
bichhaD ke mujh se ye mashghala iKHtiyar karna
hawa se Darna bujhe charaghon se pyar karna
khuli zaminon mein jab bhi sarson ke phul mahken
tum aisi rut mein sada mera intizar karna
jo log chahen to phir tumhein yaad bhi na aaen
kabhi kabhi tum mujhe bhi un mein shumar karna
kisi ko ilzam-e-bewafai kabhi na dena
meri tarah apne aap ko sogwar karna
tamam wade kahan talak yaad rakh sakoge
jo bhul jaen wo ahd bhi ustuwar karna
ye kis ki aankhon ne baadalon ko sikha diya hai
ki sina-e-sang se rawan aabshaar karna
main zindagi se na khul saka is liye bhi 'mohsin'
ki bahte pani pe kab talak e'tibar karna
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 735)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.