bichhaD ke us se abhi hun zinda magar bahut pur-malal ab tak
bichhaD ke us se abhi hun zinda magar bahut pur-malal ab tak
Najma Shaheen Khosa
MORE BYNajma Shaheen Khosa
bichhaḌ ke us se abhī huuñ zinda magar bahut pur-malāl ab tak
ḳhabar nahīñ vo sañbhal chukā hai yā vo bhī hai ḳhasta-hāl ab tak
mujhe tirā intizār kyoñ hai ye dil mirā be-qarār kyoñ hai
mire ḳhayāl-o-nazar meñ dekho yahī hai bas ik savāl ab tak
kahā gayā vaqt saare zaḳhmoñ kā aap marham banegā ik din
kaho ki zaḳhmoñ kā kyoñ nahīñ ho sakā bhalā indimāl ab tak
kahāñ ye mumkin ki bhuul jā.ūñ maiñ zindagī kī hasīn yādeñ
batā.ūñ kaise ki hijr meñ huuñ maiñ ranj-o-ġham se niDhāl ab tak
maiñ ek mash.al maiñ ek jugnū maiñ ek sham-e-vafā huuñ 'shāhīñ'
mire ḳhudā ne rakhā huā hai mujhe to yuuñ ḳhush-ḳhayāl ab tak
bichhaD ke us se abhi hun zinda magar bahut pur-malal ab tak
KHabar nahin wo sanbhal chuka hai ya wo bhi hai KHasta-haal ab tak
mujhe tera intizar kyon hai ye dil mera be-qarar kyon hai
mere KHayal-o-nazar mein dekho yahi hai bas ek sawal ab tak
kaha gaya waqt sare zaKHmon ka aap marham banega ek din
kaho ki zaKHmon ka kyon nahin ho saka bhala indimal ab tak
kahan ye mumkin ki bhul jaun main zindagi ki hasin yaaden
bataun kaise ki hijr mein hun main ranj-o-gham se niDhaal ab tak
main ek mashal main ek jugnu main ek sham-e-wafa hun 'shahin'
mere KHuda ne rakha hua hai mujhe to yun KHush-KHayal ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.