bichhaDna rasm-e-ulfat hai karishma ho nahin sakta
bichhaḌnā rasm-e-ulfat hai karishma ho nahīñ saktā
tū merī ho nahīñ saktī maiñ terā ho nahīñ saktā
suno maiñ bhī to insāñ huuñ mujhe bhī dard hotā hai
ye tum se kaun kahtā hai ki laḌkā ro nahīñ saktā
ye mahfil hai mohabbat kī tire misroñ meñ nafrat hai
kahā jo she'r tū ne vo mukarrar ho nahīñ saktā
vo sūraj aur charāġhoñ kā sahārā bhī nahīñ letā
jo rāh-e-haq pe chaltā hai kahīñ vo kho nahīñ saktā
suḳhan se munsalik huuñ maiñ mirā markaz mohabbat hai
diloñ meñ biij nafrat ke kabhī maiñ bo nahīñ saktā
bichhaDna rasm-e-ulfat hai karishma ho nahin sakta
tu meri ho nahin sakti main tera ho nahin sakta
suno main bhi to insan hun mujhe bhi dard hota hai
ye tum se kaun kahta hai ki laDka ro nahin sakta
ye mahfil hai mohabbat ki tere misron mein nafrat hai
kaha jo she'r tu ne wo mukarrar ho nahin sakta
wo suraj aur charaghon ka sahaara bhi nahin leta
jo rah-e-haq pe chalta hai kahin wo kho nahin sakta
suKHan se munsalik hun main mera markaz mohabbat hai
dilon mein bij nafrat ke kabhi main bo nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.