bichhaDne deti nahin DhunDh hi nikalti hai
bichhaḌne detī nahīñ DhūñDh hī nikāltī hai
ajiib hai na mujhe be-ḳhudī sambhāltī hai
maiñ kab kā haar chukā zindagī tirī baazī
havā meñ kis liye sikka nayā uchhāltī hai
huā hai shak mirī tanhā.ī ko mujhe le kar
ulaT palaT ke har ek chiiz ko khañgāltī hai
jhulas na deñ kahīñ sachchā.iyāñ use ik din
vo ḳhvāb aañkh jise chhāñv chhāñv pāltī hai
dubak ga.ī hai kiran jo abhī dhuñdhlake meñ
vahī to sub.h ko sūraj nayā ujāltī hai
bichhaDne deti nahin DhunDh hi nikalti hai
ajib hai na mujhe be-KHudi sambhaalti hai
main kab ka haar chuka zindagi teri bazi
hawa mein kis liye sikka naya uchhaalti hai
hua hai shak meri tanhai ko mujhe le kar
ulaT palaT ke har ek chiz ko khangalti hai
jhulas na den kahin sachchaiyan use ek din
wo KHwab aankh jise chhanw chhanw palti hai
dubak gai hai kiran jo abhi dhundhlake mein
wahi to subh ko suraj naya ujalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.