bichhaDne ka ishaara kar rahe hain
bichhaḌne kā ishārā kar rahe haiñ
kināre bhī kināra kar rahe haiñ
hamārī aañkh se manzar churā kar
jahāñ vaale nazāra kar rahe haiñ
tumhāre bin kahāñ kaTtā hai jīvan
faqat ham to guzārā kar rahe haiñ
mohabbat ko aziyyat kahne vaale
mohabbat hī dubāra kar rahe haiñ
vahī chhīnegā bīnā.ī hamārī
jise āñkhoñ kā taarā kar rahe haiñ
vahī ham ko girānā chāhtā hai
jise apnā sahārā kar rahe haiñ
kabhī shabnam banā lete haiñ 'ambar'
kabhī dil ko sharāra kar rahe haiñ
bichhaDne ka ishaara kar rahe hain
kinare bhi kinara kar rahe hain
hamari aankh se manzar chura kar
jahan wale nazara kar rahe hain
tumhaare bin kahan kaTta hai jiwan
faqat hum to guzara kar rahe hain
mohabbat ko aziyyat kahne wale
mohabbat hi dubara kar rahe hain
wahi chhinega binai hamari
jise aankhon ka tara kar rahe hain
wahi hum ko girana chahta hai
jise apna sahaara kar rahe hain
kabhi shabnam bana lete hain 'ambar'
kabhi dil ko sharara kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.