bichhaDte waqt ye kya kar raha hai
bichhaḌte vaqt ye kyā kar rahā hai
maiñ us kā huuñ ye da.avā kar rahā hai
zamāne meñ jo dariyā kar na paayā
vo saare kaam qatra kar rahā hai
dil-e-nādān tujh ko kyā kahūñ tū
usī kī phir tamannā kar rahā hai
rahā nirvastr shab bhar ḳhvāhishoñ sā
sahar hote hī parda kar rahā hai
usī kā naam hoñToñ tak na aayā
jo sab se merī charchā kar rahā hai
mujhe nīchā dikhānā chāhtā thā
habīboñ ko ikaTThā kar rahā hai
bichhaDte waqt ye kya kar raha hai
main us ka hun ye dawa kar raha hai
zamane mein jo dariya kar na paya
wo sare kaam qatra kar raha hai
dil-e-nadan tujh ko kya kahun tu
usi ki phir tamanna kar raha hai
raha nirwastr shab bhar KHwahishon sa
sahar hote hi parda kar raha hai
usi ka nam honTon tak na aaya
jo sab se meri charcha kar raha hai
mujhe nicha dikhana chahta tha
habibon ko ikaTTha kar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.