bigaD kar adu se dikhate hain aap
bigaḌ kar 'adū se dikhāte haiñ aap
banāvaT kī bāteñ banāte haiñ aap
baḌhāne ko qisse shab-e-vasl meñ
fasāne 'adū ke sunāte haiñ aap
kisī ko tajallī kisī ko javāb
'ajab kuchh lagāte-bujhāte haiñ aap
bigaḌne ke asbāb lāzim nahīñ
na.ī baat dil se banāte haiñ aap
na aanā thā gar aa.e kyuuñ ḳhvāb meñ
magar sote fitne jagāte haiñ aap
bañdhe kyā kisī se umīd-e-visāl
nazar se nazar kab milāte haiñ aap
bigaD kar 'adu se dikhate hain aap
banawaT ki baaten banate hain aap
baDhane ko qisse shab-e-wasl mein
fasane 'adu ke sunate hain aap
kisi ko tajalli kisi ko jawab
'ajab kuchh lagate-bujhate hain aap
bigaDne ke asbab lazim nahin
nai baat dil se banate hain aap
na aana tha gar aae kyun KHwab mein
magar sote fitne jagate hain aap
bandhe kya kisi se umid-e-visal
nazar se nazar kab milate hain aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.