bigaD ke bhi muqaddar ban gae hain
bigaḌ ke bhī muqaddar ban ga.e haiñ
kaTe shāne mire par ban ga.e haiñ
purāne maqbaroñ ke zer-e-sāya
na.e andāz ke ghar ban ga.e haiñ
kisī ḳhushbū kī yādoñ ke vasīle
sulagte ūd-o-ambar ban ga.e haiñ
duāoñ meñ asar ke aate aate
duā ke haath patthar ban ga.e haiñ
qalam hone kī ḳhvāhish kī badaulat
tire neze pe ham sar ban ga.e haiñ
bigaD ke bhi muqaddar ban gae hain
kaTe shane mere par ban gae hain
purane maqbaron ke zer-e-saya
nae andaz ke ghar ban gae hain
kisi KHushbu ki yaadon ke wasile
sulagte ud-o-ambar ban gae hain
duaon mein asar ke aate aate
dua ke hath patthar ban gae hain
qalam hone ki KHwahish ki badaulat
tere neze pe hum sar ban gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.