bigaD rahe hain hansi lab pe aai jati hai
bigaḌ rahe haiñ hañsī lab pe aa.ī jaatī hai
adā bhī aisī ki dil meñ samā.ī jaatī hai
baḌhā ke rasm-e-mohabbat ghaTā.ī jaatī hai
ḳhatā hamārī hī ye bhī batā.ī jaatī hai
nigāh-e-nāz kī tāsīr uf ma.āz-allāh
utar ke aañkh se dil meñ samā.ī jaatī hai
ye bahr-e-ishq meñ kaise kināre pahuñchegī
abhī se kashti-e-dil Dagmagā.ī jaatī hai
guzishta raat ke sadme abhī na bhūle the
sitam hai shām-e-musībat phir aa.ī jaatī hai
ye sach hai zid hai mohabbat ko rāzdārī se
ayaañ ye hotī hai jitnī chhupā.ī jaatī hai
chalā hai kūcha-e-qātil meñ kyā samajh kar dil
ye apne hāthoñ se shāmat bulā.ī jaatī hai
qarīb aaya hai shāyad bahār kā mausam
ye baat kyā hai jo vahshat samā.ī jaatī hai
kahāñ vo lutf-o-mohabbat kahāñ ye hālat hai
har ek baat pe tyorī chaḌhā.ī jaatī hai
majāl kyā hai jo mai-kash koī bahak jaa.e
ba-qadr-e-zarf har ik ko pilā.ī jaatī hai
qafas ke sāmne hotā hai zikr gulshan kā
ḳhabar bahār kī ham ko sunā.ī jaatī hai
koī fareb hai dhoka hai chaal hai ye bhī
jo ham se rasm-e-mohabbat baḌhā.ī jaatī hai
sitam-zarīfī to dekho ki saath va.ade ke
qasam bhī jhūTī mire sar kī khaa.ī jaatī hai
ilāhī ḳhair ho mashq-e-ḳhirām hotī hai
qadam qadam pe qayāmat uThā.ī jaatī hai
ḳhafā vo baiThe haiñ aġhyār us pe bharte haiñ
ye aag aur lagī meñ lagā.ī jaatī hai
na pūchho bazm meñ 'ishrat' se aarzū kyā hai
ye baat kaan meñ chupke batā.ī jaatī hai
bigaD rahe hain hansi lab pe aai jati hai
ada bhi aisi ki dil mein samai jati hai
baDha ke rasm-e-mohabbat ghaTai jati hai
KHata hamari hi ye bhi batai jati hai
nigah-e-naz ki tasir uf maaz-allah
utar ke aankh se dil mein samai jati hai
ye bahr-e-ishq mein kaise kinare pahunchegi
abhi se kashti-e-dil Dagmagai jati hai
guzishta raat ke sadme abhi na bhule the
sitam hai sham-e-musibat phir aai jati hai
ye sach hai zid hai mohabbat ko raazdari se
ayan ye hoti hai jitni chhupai jati hai
chala hai kucha-e-qatil mein kya samajh kar dil
ye apne hathon se shamat bulai jati hai
qarib aaya hai shayad bahaar ka mausam
ye baat kya hai jo wahshat samai jati hai
kahan wo lutf-o-mohabbat kahan ye haalat hai
har ek baat pe tyori chaDhai jati hai
majal kya hai jo mai-kash koi bahak jae
ba-qadr-e-zarf har ek ko pilai jati hai
qafas ke samne hota hai zikr gulshan ka
KHabar bahaar ki hum ko sunai jati hai
koi fareb hai dhoka hai chaal hai ye bhi
jo hum se rasm-e-mohabbat baDhai jati hai
sitam-zarifi to dekho ki sath wade ke
qasam bhi jhuTi mere sar ki khai jati hai
ilahi KHair ho mashq-e-KHiram hoti hai
qadam qadam pe qayamat uThai jati hai
KHafa wo baiThe hain aghyar us pe bharte hain
ye aag aur lagi mein lagai jati hai
na puchho bazm mein 'ishrat' se aarzu kya hai
ye baat kan mein chupke batai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.