bigaDne wala kisi din sanwar hi jaega
bigaḌne vaalā kisī din sañvar hī jā.egā
mizāj-e-dost bil-āḳhir sudhar hī jā.egā
marīz-e-ishq abhī bekalī meñ hai lekin
buḳhār ek din us kā utar hī jā.egā
jo phuul aaj sar-e-shāḳh hai mahaktā huā
vo ek mauj-e-sabā meñ bikhar hī jā.egā
guzar rahī hai pareshān zindagī lekin
chale chalo ki ye rasta guzar hī jā.egā
isī ḳhayāl se nekī zarūr kartī huuñ
ki buuñd buuñd se tālāb bhar hī jā.egā
jo gir ke raah meñ uThne kā azm rakhtā hai
vo paar aag kā dariyā bhī kar hī jā.egā
ye soch kar hī ravābit meñ ijz bhī rakhnā
hai jis kī ḳhaak jahāñ kī udhar hī jā.egā
'sabīla' ḳhvāb meñ vo sair ko agar nikle
uḌan-khaTole pe pariyoñ ke ghar hī jā.egā
bigaDne wala kisi din sanwar hi jaega
mizaj-e-dost bil-aKHir sudhar hi jaega
mariz-e-ishq abhi bekali mein hai lekin
buKHar ek din us ka utar hi jaega
jo phul aaj sar-e-shaKH hai mahakta hua
wo ek mauj-e-saba mein bikhar hi jaega
guzar rahi hai pareshan zindagi lekin
chale chalo ki ye rasta guzar hi jaega
isi KHayal se neki zarur karti hun
ki bund bund se talab bhar hi jaega
jo gir ke rah mein uThne ka azm rakhta hai
wo par aag ka dariya bhi kar hi jaega
ye soch kar hi rawabit mein ijz bhi rakhna
hai jis ki KHak jahan ki udhar hi jaega
'sabila' KHwab mein wo sair ko agar nikle
uDan-khaTole pe pariyon ke ghar hi jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.