bigaDta mood hai mera wo jab bhi yaad hota hai
bigaḌtā mood hai merā vo jab bhī yaad hotā hai
bahut sā vaqt rone meñ yūñhī barbād hotā hai
mujhe lagtā hai yuuñ mahbūb kā chechak-zada chehra
munaqqash jis tarah zarf-e-murādābād hotā hai
kisī bhī saas se pūchho kahegī vo bhī ye fauran
bahut hī lālchī ab to har ik dāmād hotā hai
tarannum jis kā achchhā ho usī kā naam hai shā.ir
churā kar jo ġhazal paḌh de vahī ustād hotā hai
kahīñ dangā jo hotā hai agar das biis marte haiñ
hukūmat ke laboñ par harche bādā-bād hotā hai
agar do chaar bachche hoñ girānī maar detī hai
baḌī mushkil meñ ab to sāhib-e-aulād hotā hai
fasāna āshiqī kā muḳhtasar 'muḳhtār' hai itnā
koī barbād kartā hai koī barbād hotā hai
bigaDta mood hai mera wo jab bhi yaad hota hai
bahut sa waqt rone mein yunhi barbaad hota hai
mujhe lagta hai yun mahbub ka chechak-zada chehra
munaqqash jis tarah zarf-e-muradabaad hota hai
kisi bhi sas se puchho kahegi wo bhi ye fauran
bahut hi lalchi ab to har ek damad hota hai
tarannum jis ka achchha ho usi ka nam hai shair
chura kar jo ghazal paDh de wahi ustad hota hai
kahin danga jo hota hai agar das bis marte hain
hukumat ke labon par harche baada-baad hota hai
agar do chaar bachche hon girani mar deti hai
baDi mushkil mein ab to sahib-e-aulad hota hai
fasana aashiqi ka muKHtasar 'muKHtar' hai itna
koi barbaad karta hai koi barbaad hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.