Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bigaDte bante daere sawal sochte rahe

Musavvir Sabzwari

bigaDte bante daere sawal sochte rahe

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    bigaḌte bante dā.ere savāl sochte rahe

    na jaane kis ke the vo ḳhadd-o-ḳhāl sochte rahe

    jo rū-numā nahīñ huā vo marhala Darā gayā

    mileñge kaise us se māh-o-sāl sochte rahe

    sitāra-dar-sitāra shaam utrī hogī lawn par

    akele baiThe ham ba-sad-malāl sochte rahe

    'ajīb moḌ sāmne the ḳhvāb ḳhvāb bastiyāñ

    bichhaḌ ke baaqī 'umr ma.aal sochte rahe

    mile the tum to TuuT kar hamīñ the ġhair mutma.in

    hazār fāsle pas-e-visāl sochte rahe

    hamīñ yahāñ vo ḳhush-qayās-ḳhush-gumāñ parind the

    ḳhayām-e-reg meñ jo barshgāl sochte rahe

    bigaDte bante daere sawal sochte rahe

    na jaane kis ke the wo KHadd-o-KHal sochte rahe

    jo ru-numa nahin hua wo marhala Dara gaya

    milenge kaise us se mah-o-sal sochte rahe

    sitara-dar-sitara sham utri hogi lawn par

    akele baiThe hum ba-sad-malal sochte rahe

    'ajib moD samne the KHwab KHwab bastiyan

    bichhaD ke baqi 'umr ka maal sochte rahe

    mile the tum to TuT kar hamin the ghair mutmain

    hazar fasle pas-e-visal sochte rahe

    hamin yahan wo KHush-qayas-KHush-guman parind the

    KHayam-e-reg mein jo barshgal sochte rahe

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    bigaDte bante daere sawal sochte rahe Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now