bigDi hui jo bazm-e-suKHan thi sanbhal gai
bigḌī huī jo bazm-e-suḳhan thī sañbhal ga.ī
kyā baat thī jo merī zabāñ se nikal ga.ī
kyoñ ho ga.ī haiñ donoñ kī rāheñ alag alag
maiñ vo nahīñ rahā ki ye duniyā badal ga.ī
va.ada vo apne aane kā puurā na kar sakā
shāyad shab-e-firāq koī chaal chal ga.ī
ye merī tarbiyat kā karishma na ho koī
aulād merī mujh se bhī aage nikal ga.ī
thā jo yaqīñ nuzūl-e-balā kā nujūmī ko
mujh ko yaqīñ hai 'shauq' duā se vo Tal ga.ī
bigDi hui jo bazm-e-suKHan thi sanbhal gai
kya baat thi jo meri zaban se nikal gai
kyon ho gai hain donon ki rahen alag alag
main wo nahin raha ki ye duniya badal gai
wada wo apne aane ka pura na kar saka
shayad shab-e-firaq koi chaal chal gai
ye meri tarbiyat ka karishma na ho koi
aulad meri mujh se bhi aage nikal gai
tha jo yaqin nuzul-e-bala ka nujumi ko
mujh ko yaqin hai 'shauq' dua se wo Tal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.