bich sahra mein apna ghar nikla
biich sahrā meñ apnā ghar niklā
kaisā saudā hamāre sar niklā
jab se ābād us kī chāhat hai
dil se duniyā kā saarā Dar niklā
vo bhī rahne lagā hai āñkhoñ meñ
ain paanī meñ us kā ghar niklā
us kī ḳhushbū ko DhūñDne yaaro
maiñ havāoñ ke dosh par niklā
jin ke hoñToñ pe qahqahe the bahut
un kā dāman bhī tar-ba-tar niklā
jaltī dhūpoñ se tang thā vo bhī
chhāñv lene ko ḳhud shajar niklā
naam sunte the taaj kā 'jauhar'
vo bhī yādoñ kā ik khañDar niklā
bich sahra mein apna ghar nikla
kaisa sauda hamare sar nikla
jab se aabaad us ki chahat hai
dil se duniya ka sara Dar nikla
wo bhi rahne laga hai aankhon mein
ain pani mein us ka ghar nikla
us ki KHushbu ko DhunDne yaro
main hawaon ke dosh par nikla
jin ke honTon pe qahqahe the bahut
un ka daman bhi tar-ba-tar nikla
jalti dhupon se tang tha wo bhi
chhanw lene ko KHud shajar nikla
nam sunte the taj ka 'jauhar'
wo bhi yaadon ka ek khanDar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.