bich samundar rahta hun
biich samundar rahtā huuñ
lekin phir bhī pyāsā huuñ
apne bachchoñ kī nazroñ meñ
maiñ do din kā bachcha huuñ
zulm sahūñ ḳhāmosh rahūñ
kyā maiñ ek farishta huuñ
sadiyāñ paḌh kar duniyā kī
lamhe us ke samjhā huuñ
sach kahne kī aadat hai
yuuñ maiñ mujrim Thahrā huuñ
bhiiḌ meñ tanhā rahne kā
zahr hamesha piitā huuñ
sab apne se lagte haiñ
maiñ bhī kitnā sīdhā huuñ
ḳhushbū le kar chāhat kī
bastī bastī phirtā huuñ
bich samundar rahta hun
lekin phir bhi pyasa hun
apne bachchon ki nazron mein
main do din ka bachcha hun
zulm sahun KHamosh rahun
kya main ek farishta hun
sadiyan paDh kar duniya ki
lamhe us ke samjha hun
sach kahne ki aadat hai
yun main mujrim Thahra hun
bhiD mein tanha rahne ka
zahr hamesha pita hun
sab apne se lagte hain
main bhi kitna sidha hun
KHushbu le kar chahat ki
basti basti phirta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.