bimar-e-gham hun kar-e-masiha kare koi
bīmār-e-ġham huuñ kār-e-masīhā kare koī
dard-e-dil-o-jigar kā mudāvā kare koī
zauq-e-nazar 'kalīm' kā paidā kare koī
phir dīd-e-husn-e-yār kā da.avā kare koī
miltā nahīñ vafā kā vafā se kahīñ javāb
phir ḳhaak dostoñ pe bharosā kare koī
pās-e-hayā nahīñ unheñ josh-e-shabāb meñ
un kī bhī aarzū hai ki dekhā kare koī
dekhā jo mahv-e-husn to bole ba-sad-itāb
mujh ko na is nigāh se dekhā kare koī
jab dushman-e-vafā tumheñ 'aslam' samajh chukā
phir kyoñ vafā kī tum se tamanna kare koī
bimar-e-gham hun kar-e-masiha kare koi
dard-e-dil-o-jigar ka mudawa kare koi
zauq-e-nazar 'kalim' ka paida kare koi
phir did-e-husn-e-yar ka dawa kare koi
milta nahin wafa ka wafa se kahin jawab
phir KHak doston pe bharosa kare koi
pas-e-haya nahin unhen josh-e-shabab mein
un ki bhi aarzu hai ki dekha kare koi
dekha jo mahw-e-husn to bole ba-sad-itab
mujh ko na is nigah se dekha kare koi
jab dushman-e-wafa tumhein 'aslam' samajh chuka
phir kyon wafa ki tum se tamanna kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.