bimar hain go ishq mein to kya kare koi
bīmār haiñ go ishq meñ to kyā kare koī
dil ke marīz ko yuuñ na kosā kare koī
zar ko jahāñ meñ le ke chukāte haiñ jaise sab
ehsān ko bhī aise chukāyā kare koī
daulat zarūrī jaise samajhte haiñ sab yahāñ
rishte zarūrī vaise hī samjhā kare koī
duniyā meñ ġham ke bojh tale dab gayā huuñ maiñ
jiine kī ek vajah batāyā kare koī
manzil talāshne meñ ye jīvan guzar rahā
himmat yahāñ pe merī baḌhāyā kare koī
nākāmiyoñ kī tīrgī meñ kho gayā huuñ maiñ
ab raushnī safar meñ dikhāyā kare koī
gar mil ga.e ḳhudā to karūñ un se arz maiñ
ġham aur dard se na satāyā kare koī
iḳhlās meñ badan kī jagah ruuh ko milā
lab kī jagah jabīñ pe to bosā kare koī
is hijr meñ talab merī pahle se baḌh ga.ī
ab vasl ke fasāne sunāyā kare koī
ik arse se hañsā nahīñ ġham ke sabab se maiñ
dair-o-haram meñ us ko batāyā kare koī
vālid ḳhafā haiñ naukrī maiñ kar nahīñ rahā
apne suḳhan ko kaise ḳhasāra kare koī
har koī bhāgtā hai guhar kī talāsh meñ
'kātib' ke jaise naam kamāyā kare koī
bimar hain go ishq mein to kya kare koi
dil ke mariz ko yun na kosa kare koi
zar ko jahan mein le ke chukate hain jaise sab
ehsan ko bhi aise chukaya kare koi
daulat zaruri jaise samajhte hain sab yahan
rishte zaruri waise hi samjha kare koi
duniya mein gham ke bojh tale dab gaya hun main
jine ki ek wajah bataya kare koi
manzil talashne mein ye jiwan guzar raha
himmat yahan pe meri baDhaya kare koi
nakaamiyon ki tirgi mein kho gaya hun main
ab raushni safar mein dikhaya kare koi
gar mil gae KHuda to karun un se arz main
gham aur dard se na sataya kare koi
iKHlas mein badan ki jagah ruh ko mila
lab ki jagah jabin pe to bosa kare koi
is hijr mein talab meri pahle se baDh gai
ab wasl ke fasane sunaya kare koi
ek arse se hansa nahin gham ke sabab se main
dair-o-haram mein us ko bataya kare koi
walid KHafa hain naukri main kar nahin raha
apne suKHan ko kaise KHasara kare koi
har koi bhagta hai guhar ki talash mein
'katib' ke jaise nam kamaya kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.