biswin sadi ke hum shair-e-pareshan hain
bīsvīñ sadī ke ham shā.ir-e-pareshāñ haiñ
mas.aloñ meñ uljhe haiñ fikr-o-ġham meñ ġhaltāñ haiñ
Duub kar ubhar aa.e maut se gale mil kar
apnī saḳht-jānī ke ḳhud hī ham nigahbāñ haiñ
ham to Thahre dīvāne ham to Thahre sahrā.ī
ahl-e-fahm-o-dānish ke chaak kyuuñ garebāñ haiñ
kab hisāb māñgā thā aap kī jafāoñ kā
kyuuñ jhukī jhukī nazreñ kis liye pashemāñ haiñ
aaj tak hai ġham taaza dost se bichhaḌne kā
ab bhī āñkheñ rotī haiñ zaḳhm-e-dil-farozāñ haiñ
sab ke ham rahe apne kaun hai magar apnā
DhūñDhte haiñ apnoñ ko ham bhī kitne nādāñ haiñ
'tāhira' zamāne kī karvaToñ kā kyā kahnā
hoñge ye bhī vīrāne aaj jo gulistāñ haiñ
biswin sadi ke hum shair-e-pareshan hain
masalon mein uljhe hain fikr-o-gham mein ghaltan hain
Dub kar ubhar aae maut se gale mil kar
apni saKHt-jaani ke KHud hi hum nigahban hain
hum to Thahre diwane hum to Thahre sahrai
ahl-e-fahm-o-danish ke chaak kyun gareban hain
kab hisab manga tha aap ki jafaon ka
kyun jhuki jhuki nazren kis liye pasheman hain
aaj tak hai gham taza dost se bichhaDne ka
ab bhi aankhen roti hain zaKHm-e-dil-farozan hain
sab ke hum rahe apne kaun hai magar apna
DhunDhte hain apnon ko hum bhi kitne nadan hain
'tahira' zamane ki karwaTon ka kya kahna
honge ye bhi virane aaj jo gulistan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.