bite din jab bhi yaad aate hain
biite din jab bhī yaad aate haiñ
ashk palkoñ pe jhilmilāte haiñ
terī yādoñ ke chāñd tāroñ se
shab-e-furqat ko ham sajāte haiñ
hāl-e-fasl-e-bahār mat pūchho
phuul kāñToñ meñ muñh chhupāte haiñ
tum jo kahte ho sirf kahte ho
ham jo kahte haiñ kar dikhāte haiñ
ham ki fitna fasād kī bāteñ
jahāñ sunte haiñ bhuul jaate haiñ
vahī taqsīm ke haiñ zimmedār
ham pe ilzām jo lagāte haiñ
phir se taqsīm ham na ho jaa.eñ
aaj hālāt ye batāte haiñ
merī uñglī pakaḌ ke chalte the
ab mujhe rāsta dikhāte haiñ
tere ash.ār haiñ ki ai 'zaḳhmī'
zauq vāloñ se daad paate haiñ
bite din jab bhi yaad aate hain
ashk palkon pe jhilmilate hain
teri yaadon ke chand taron se
shab-e-furqat ko hum sajate hain
haal-e-fasl-e-bahaar mat puchho
phul kanTon mein munh chhupate hain
tum jo kahte ho sirf kahte ho
hum jo kahte hain kar dikhate hain
hum ki fitna fasad ki baaten
jahan sunte hain bhul jate hain
wahi taqsim ke hain zimmedar
hum pe ilzam jo lagate hain
phir se taqsim hum na ho jaen
aaj haalat ye batate hain
meri ungli pakaD ke chalte the
ab mujhe rasta dikhate hain
tere ashaar hain ki ai 'zaKHmi'
zauq walon se dad pate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.