bite dinon ki tu agar tahrir likh
biite dinoñ kī tū agar tahrīr likh
apne qalam se vaqt kī taqdīr likh
mahdūd ma.anī meñ simaT kar rah kabhī
jab phail jaa.e to koī tafsīr likh
mahrūm āñkhoñ se bhī ho to paḌh le ḳhat
tārīk shab par is tarah tanvīr likh
dasht-o-bayābāñ meñ nahīñ to chhoḌ de
yā mere ḳhvāboñ kī koī ta.abīr likh
āvāz ke saa.e meñ be āvāz huuñ
'iqbāl' 'ġhālib' aur na mujh ko 'mīr' likh
is saal kyā hai barf-bārī kā ġhazab
Dal jhiil ho yā gulshan-e-kashmīr likh
āzād ho kar bhī muqayyad huuñ 'zafar'
jo toḌ de zindāñ ko vo zanjīr likh
bite dinon ki tu agar tahrir likh
apne qalam se waqt ki taqdir likh
mahdud mani mein simaT kar rah kabhi
jab phail jae to koi tafsir likh
mahrum aankhon se bhi ho to paDh le KHat
tarik shab par is tarah tanwir likh
dasht-o-bayaban mein nahin to chhoD de
ya mere KHwabon ki koi tabir likh
aawaz ke sae mein be aawaz hun
'iqbaal' 'ghaalib' aur na mujh ko 'mir' likh
is sal kya hai barf-bari ka ghazab
Dal jhil ho ya gulshan-e-kashmir likh
aazad ho kar bhi muqayyad hun 'zafar'
jo toD de zindan ko wo zanjir likh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.