bite lamhon ki KHushbuen zaKHmon ki saughat mili
biite lamhoñ kī ḳhushbūeñ zaḳhmoñ kī sauġhāt milī
tanhā.ī ke sūne-pan meñ yādoñ kī bārāt milī
itne patthar barsā.e haiñ phuul se nāzuk hoñToñ ne
zaḳhmoñ ke ik Dher ke nīche kuchlī apnī zaat milī
TuuTe haiñ har ek qadam par bikhre haiñ har moḌ pe ham
sang-diloñ ke shahr meñ ham ko shīshe kī auqāt milī
dil ke lahū ne aañsū ban kar ġham ko suhānā-pan baḳhshā
jalte sahrā meñ bhī ham ko rangoñ kī barsāt milī
hañs hañs ke har zor-e-sitam ko ham ne dil par rok liyā
is shīshe se jo Takrāyā us patthar ko maat milī
yādoñ kā ban-bās likhā thā apne raam kī qismat meñ
ham ko bharī ābādī meñ bhī tanhā apnī zaat milī
apne dil ko aur jalā kar ham ne ujālā phailāyā
jis manzil par jis raste meñ 'badr' jahāñ tak raat malī
bite lamhon ki KHushbuen zaKHmon ki saughat mili
tanhai ke sune-pan mein yaadon ki baraat mili
itne patthar barsae hain phul se nazuk honTon ne
zaKHmon ke ek Dher ke niche kuchli apni zat mili
TuTe hain har ek qadam par bikhre hain har moD pe hum
sang-dilon ke shahr mein hum ko shishe ki auqat mili
dil ke lahu ne aansu ban kar gham ko suhana-pan baKHsha
jalte sahra mein bhi hum ko rangon ki barsat mili
hans hans ke har zor-e-sitam ko hum ne dil par rok liya
is shishe se jo Takraya us patthar ko mat mili
yaadon ka ban-bas likha tha apne ram ki qismat mein
hum ko bhari aabaadi mein bhi tanha apni zat mili
apne dil ko aur jala kar hum ne ujala phailaya
jis manzil par jis raste mein 'badr' jahan tak raat mali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.