bite lamhon ko dobara nahin paya karte
biite lamhoñ ko dobāra nahīñ paayā karte
lauT kar vaqt ke dhāre nahīñ aaya karte
mere hāthoñ se to zarre bhī phisal jaate haiñ
aisī muTThī meñ sitāre nahīñ aaya karte
had se baḌh jaa.eñ to āñkhoñ se chhalak jaate haiñ
dard saare hī nahīñ dil meñ samāyā karte
chāñd ke husn se labrez hoñ āñkheñ jis kī
us chakorī ko sitāre nahīñ bhāyā karte
zinda rahne ke tarīqe nahīñ aate jin ko
un ko marne ke salīqe nahīñ aaya karte
ruuTh jaate to manāne ke mavāqe rahte
is tarah chhoḌ ke duniyā nahīñ jaayā karte
bite lamhon ko dobara nahin paya karte
lauT kar waqt ke dhaare nahin aaya karte
mere hathon se to zarre bhi phisal jate hain
aisi muTThi mein sitare nahin aaya karte
had se baDh jaen to aankhon se chhalak jate hain
dard sare hi nahin dil mein samaya karte
chand ke husn se labrez hon aankhen jis ki
us chakori ko sitare nahin bhaya karte
zinda rahne ke tariqe nahin aate jin ko
un ko marne ke saliqe nahin aaya karte
ruTh jate to manane ke mawaqe rahte
is tarah chhoD ke duniya nahin jaya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.