bite lamhon ko phir jiya jae
biite lamhoñ ko phir jiyā jaa.e
un ko kuchh yaad yuuñ kiyā jaa.e
yuuñ to oḌhī thī ham ne ḳhāmoshī
us kā par naam bhī liyā jaa.e
us ko rakhnā hai dil meñ yā ki nahīñ
faisla ye bhī kar diyā jaa.e
jo ki vāpas liyā thā us se kabhī
dil vahī us ko phir diyā jaa.e
bite lamhon ko phir jiya jae
un ko kuchh yaad yun kiya jae
yun to oDhi thi hum ne KHamoshi
us ka par nam bhi liya jae
us ko rakhna hai dil mein ya ki nahin
faisla ye bhi kar diya jae
jo ki wapas liya tha us se kabhi
dil wahi us ko phir diya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.