bijli kahin girae zamane guzar gae
bijlī kahīñ girā.e zamāne guzar ga.e
jalva use dikhā.e zamāne guzar ga.e
tum se nigāh haTtī na thī vo bhī vaqt thā
lamhāt ab vo aa.e zamāne guzar ga.e
kyoñ chhānte ho ḳhaak miyāñ kū-e-yār kī
us ko to ḳhat jalā.e zamāne guzar ga.e
kaise kaheñ ki rābta us se rahā nahīñ
jis ko hameñ bhulā.e zamāne guzar ga.e
ik baar us kī diid kī ham ko hai aarzū
yāroñ fareb khaa.e zamāne guzar ga.e
ye kis gumān meñ ho hameñ zer karke tum
ham ko to sar jhukā.e zamāne guzar ga.e
himmat hai ab na quvvat-e-īmān-o-āgahī
vo kashtiyāñ jalā.e zamāne guzar ga.e
aatī hai ab chaman se ye ḳhushbū 'suhaib' kyoñ
jab ki bahār aa.e zamāne guzar ga.e
bijli kahin girae zamane guzar gae
jalwa use dikhae zamane guzar gae
tum se nigah haTti na thi wo bhi waqt tha
lamhat ab wo aae zamane guzar gae
kyon chhante ho KHak miyan ku-e-yar ki
us ko to KHat jalae zamane guzar gae
kaise kahen ki rabta us se raha nahin
jis ko hamein bhulae zamane guzar gae
ek bar us ki did ki hum ko hai aarzu
yaron fareb khae zamane guzar gae
ye kis guman mein ho hamein zer karke tum
hum ko to sar jhukae zamane guzar gae
himmat hai ab na quwwat-e-iman-o-agahi
wo kashtiyan jalae zamane guzar gae
aati hai ab chaman se ye KHushbu 'suhaib' kyon
jab ki bahaar aae zamane guzar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.