bijliyan pi ke jo uD jate hain
bijliyāñ pī ke jo uḌ jaate haiñ
vo qayāmat se bhī laḌ jaate haiñ
qalb-e-insāñ kī javāñ hiddat se
aag par aable paḌ jaate haiñ
ishq jab vaqt ko jhiñjhoḌtā hai
hādse kaañp ke jhaḌ jaate haiñ
maqtal-e-zīst se mahshar kī taraf
raqs karte hue dhaḌ jaate haiñ
aah kī zalzala-andāzī se
arsh ke paa.e ukhaḌ jaate haiñ
ham vo insāñ haiñ jo bandoñ ke liye
kibriyā se bhī bigaḌ jaate haiñ
bijliyan pi ke jo uD jate hain
wo qayamat se bhi laD jate hain
qalb-e-insan ki jawan hiddat se
aag par aable paD jate hain
ishq jab waqt ko jhinjhoDta hai
hadse kanp ke jhaD jate hain
maqtal-e-zist se mahshar ki taraf
raqs karte hue dhaD jate hain
aah ki zalzala-andazi se
arsh ke pae ukhaD jate hain
hum wo insan hain jo bandon ke liye
kibriya se bhi bigaD jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.