bijliyon ko pala hai maine ek zamane se
bijliyoñ ko paalā hai maiñ ne ik zamāne se
raushnī nikaltī hai mere āshiyāne se
jāntā huuñ us ko maiñ hai vo maslahat-andesh
haath to milā legā dil rahā milāne se
kis qadar ye behtar hai qaul ahl-e-dānish kā
jurm aur baḌhte haiñ jurm ke chhupāne se
ye hadīs bhī dekho haq hai har zamāne meñ
umr ghaTtī jaatī hai jhūTī qasmeñ khāne se
kitnī hī bulandī par baiTh jaa.eñ gidh saare
aa.alī ho nahīñ jaate ūñchī kursī paane se
zehn-e-ahl-e-dānish meñ paa.ī hai jagah 'muḳhlis'
har adab kī mahfil meñ sirf āne-jāne se
bijliyon ko pala hai main ne ek zamane se
raushni nikalti hai mere aashiyane se
jaanta hun us ko main hai wo maslahat-andesh
hath to mila lega dil raha milane se
kis qadar ye behtar hai qaul ahl-e-danish ka
jurm aur baDhte hain jurm ke chhupane se
ye hadis bhi dekho haq hai har zamane mein
umr ghaTti jati hai jhuTi qasmen khane se
kitni hi bulandi par baiTh jaen gidh sare
aaali ho nahin jate unchi kursi pane se
zehn-e-ahl-e-danish mein pai hai jagah 'muKHlis'
har adab ki mahfil mein sirf aane-jaane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.