bik raha hun sar-e-bazar zara dekho to
bik rahā huuñ sar-e-bāzār zarā dekho to
hai koī merā ḳharīdār zarā dekho to
ghaT gayā ilm kā me.aar zarā dekho to
kuchh nahīñ qīmat-e-fankār zarā dekho to
mere purkhoñ ne jo mehnat se uThā.ī thī kabhī
gir ga.ī ghar kī vo dīvār zarā dekho to
dekhte rah ga.e sab log shikāyat hai yahī
luT ga.e ham sar-e-bāzār zarā dekho to
kaun ye tum se kahe merī taraf ek nazar
mere hamdam mire ġham-ḳhvār zarā dekho to
kis kā ghar luT gayā sailāb-e-havādis meñ yahāñ
dosto aaj kā aḳhbār zarā dekho to
qāfile vāloñ se 'mas.ūd' chalo baḌh ke kaho
ziist kī raah hai dushvār zarā dekho to
bik raha hun sar-e-bazar zara dekho to
hai koi mera KHaridar zara dekho to
ghaT gaya ilm ka mear zara dekho to
kuchh nahin qimat-e-fankar zara dekho to
mere purkhon ne jo mehnat se uThai thi kabhi
gir gai ghar ki wo diwar zara dekho to
dekhte rah gae sab log shikayat hai yahi
luT gae hum sar-e-bazar zara dekho to
kaun ye tum se kahe meri taraf ek nazar
mere hamdam mere gham-KHwar zara dekho to
kis ka ghar luT gaya sailab-e-hawadis mein yahan
dosto aaj ka aKHbar zara dekho to
qafile walon se 'masud' chalo baDh ke kaho
zist ki rah hai dushwar zara dekho to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.