bikhar bikhar gae sab mere KHwab tere baghair
bikhar bikhar ga.e sab mere ḳhvāb tere baġhair
har ek saañs huī hai azaab tere baġhair
tire baġhair tabassum harām kar Daalā
masarratoñ se kiyā ijtināb tere baġhair
baḌe sukūñ se makīñ haiñ udāsiyāñ ghar meñ
huā hai jaañ mirā ḳhāna-ḳharāb tere baġhair
tirī nigāhoñ ke vo jaam ḳhuub hote the
lage hai zahr hameñ ab sharāb tere baġhair
shab-e-visāl meñ to tīrgī bhī nuur lagī
bujhā bujhā sā lagā māhtāb tere baġhair
rafāqatoñ meñ tirī ḳhaar goyā komal the
chubhe haiñ ḳhaar kī sūrat gulāb tere baġhair
bikhar bikhar gae sab mere KHwab tere baghair
har ek sans hui hai azab tere baghair
tere baghair tabassum haram kar Dala
masarraton se kiya ijtinab tere baghair
baDe sukun se makin hain udasiyan ghar mein
hua hai jaan mera KHana-KHarab tere baghair
teri nigahon ke wo jam KHub hote the
lage hai zahr hamein ab sharab tere baghair
shab-e-visal mein to tirgi bhi nur lagi
bujha bujha sa laga mahtab tere baghair
rafaqaton mein teri KHar goya komal the
chubhe hain KHar ki surat gulab tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.