bikhar chuka hai talluq kasao mushkil hai
bikhar chukā hai ta.alluq kasāo mushkil hai
chalo haTāo ki ab rakh-rakhāv mushkil hai
lachak kī āḳhirī manzil meñ aa chukī hai shāḳh
bas aur is se ziyāda jhukāo mushkil hai
bachā ke rakkhā hai ab tak charāġh kī lau ko
magar havā hai havā par dabāo mushkil hai
hisāb-e-sūd-o-ziyāñ ho chukā ab is ke baad
koī bhī joḌ koī bhī ghaTāo mushkil hai
abhī udāsiyāñ ḳheme lagā.e baiThī haiñ
abhī to dil meñ ḳhushī kā paḌāv mushkil hai
bikhar chuka hai talluq kasao mushkil hai
chalo haTao ki ab rakh-rakhaw mushkil hai
lachak ki aaKHiri manzil mein aa chuki hai shaKH
bas aur is se ziyaada jhukao mushkil hai
bacha ke rakkha hai ab tak charagh ki lau ko
magar hawa hai hawa par dabao mushkil hai
hisab-e-sud-o-ziyan ho chuka ab is ke baad
koi bhi joD koi bhi ghaTao mushkil hai
abhi udasiyan KHeme lagae baiThi hain
abhi to dil mein KHushi ka paDaw mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.