bikhar gae dil-e-barbaad ka pata na chala
bikhar ga.e dil-e-barbād kā pata na chalā
athāh ranj kī mī.ād kā pata na chalā
amal shabīh se thā kis tarah judāgāna
abhī talak mire ham-zād kā pata na chalā
tamām shahr meñ īñdhan kī tarah jal kar bhī
hai chehra kaun sā dhanbād kā pata na chalā
maiñ apne aap se rūThā huuñ hai ḳhabar kis ko
ki umr bhar dil-e-nāshād kā pata na chalā
ugā hai dasht-e-sadā kis kī tuḳhm-kārī se
sukūt-e-be-asar us khaad kā patā na chalā
bayāñ kā ijz jhalaktā hai us kī āñkhoñ se
magar tavīl sī rūdād kā pata na chalā
bikhar gae dil-e-barbaad ka pata na chala
athah ranj ki miad ka pata na chala
amal shabih se tha kis tarah judagana
abhi talak mere ham-zad ka pata na chala
tamam shahr mein indhan ki tarah jal kar bhi
hai chehra kaun sa dhanbaad ka pata na chala
main apne aap se ruTha hun hai KHabar kis ko
ki umr bhar dil-e-nashad ka pata na chala
uga hai dasht-e-sada kis ki tuKHm-kari se
sukut-e-be-asar us khad ka pata na chala
bayan ka ijz jhalakta hai us ki aankhon se
magar tawil si rudad ka pata na chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.