bikhar gai hun to kya aasman mera hai
bikhar ga.ī huuñ to kyā āsmān merā hai
zamīñ pe paañv nahīñ ḳhāk-dān merā hai
utar gayā hai sarāpā dukhoñ kī daldal meñ
jo rah gayā hai zarā sā nishān merā hai
miTā ga.ī hai zamāne kī dast-burd use
jo sāmne hai khañDar sā makān merā hai
chhupā na pā.egā vo jurm dil kā ḳhuuñ kar ke
ḳhilāf us ke chalā jo bayān merā hai
bachā.egā tujhe raste kī kulfatoñ se tamām
tumhāre saath jo rahtā dhiyān merā hai
zamāne bhar meñ hī tārīkiyāñ magar dil meñ
jale haiñ daaġh to raushan jahān merā hai
bikhar gai hun to kya aasman mera hai
zamin pe panw nahin KHak-dan mera hai
utar gaya hai sarapa dukhon ki daldal mein
jo rah gaya hai zara sa nishan mera hai
miTa gai hai zamane ki dast-burd use
jo samne hai khanDar sa makan mera hai
chhupa na paega wo jurm dil ka KHun kar ke
KHilaf us ke chala jo bayan mera hai
bachaega tujhe raste ki kulfaton se tamam
tumhaare sath jo rahta dhiyan mera hai
zamane bhar mein hi tarikiyan magar dil mein
jale hain dagh to raushan jahan mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.