bikhar jata hai jab sapna to manzar mein nahin rahta
bikhar jaatā hai jab sapnā to manzar meñ nahīñ rahtā
havā kā aks ā.īnoñ ke jauhar meñ nahīñ rahtā
use ta.abīr karnā hai tulūa-e-ashk se lekin
vo ik bahtā ujālā hai samundar meñ nahīñ rahtā
jise maiñ DhūñDhtā rahtā huuñ tasvīroñ ke mele meñ
vo rangoñ kā talātum apne paikar meñ nahīñ rahtā
koī mauj-e-sarāb us meñ sarāyat hai ki ab aksar
fusūn-e-lams kā aalam gul-e-tar meñ nahīñ rahtā
bahut din ho ga.e us se nahīñ hai rābta merā
bahut din ho ga.e dil apne mehvar meñ nahīñ rahtā
bujhā kar pyaas jhīloñ se parinde uḌte jaate haiñ
koī bhī umr bhar āñkhoñ ke sāgar meñ nahīñ rahtā
'kafīl' āḳhir talab le jā.egī us ko vahāñ se bhī
musāfir der tak Thahrā khule dar meñ nahīñ rahtā
bikhar jata hai jab sapna to manzar mein nahin rahta
hawa ka aks aainon ke jauhar mein nahin rahta
use tabir karna hai tulua-e-ashk se lekin
wo ek bahta ujala hai samundar mein nahin rahta
jise main DhunDhta rahta hun taswiron ke mele mein
wo rangon ka talatum apne paikar mein nahin rahta
koi mauj-e-sarab us mein sarayat hai ki ab aksar
fusun-e-lams ka aalam gul-e-tar mein nahin rahta
bahut din ho gae us se nahin hai rabta mera
bahut din ho gae dil apne mehwar mein nahin rahta
bujha kar pyas jhilon se parinde uDte jate hain
koi bhi umr bhar aankhon ke sagar mein nahin rahta
'kafil' aaKHir talab le jaegi us ko wahan se bhi
musafir der tak Thahra khule dar mein nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.