bikhar ke aise waqt ke main zalzale mein rah gaya
bikhar ke aise vaqt ke maiñ zalzale meñ rah gayā
ki lamha lamha ḳhud ko bas sameTne meñ rah gayā
Thahar ke jaane kyā safar meñ sochne meñ rah gayā
chalā to apne saath thā maiñ rāste meñ rah gayā
vo sach kī shakl meñ bharam kā de rahā thā ik gumāñ
ajiib sā ḳhayāl thā jo hāfize meñ rah gayā
jo jī meñ aaya zindagī vo bāteñ mujh se kah ga.ī
idhar maiñ soch soch kar hī bolne meñ rah gayā
ik ajnabī se roz milnā ho rahā hai in dinoñ
na jaane kis kā chehra mere aa.ine meñ rah gayā
mujhī meñ thī tū zindagī to kyoñ kahā nahīñ mujhe
kahāñ kahāñ maiñ tujh ko dekh DhūñDne meñ rah gayā
kabhī to is ko ek lamha jī ke dekhtā koī
zamānā zindagī faqat guzārne meñ rah gayā
usī kī justujū meñ to lagā hai aadmī magar
sukūñ use milā jo ḳhud se rābte meñ rah gayā
sadā.eñ ḳhud ko laakh diiñ magar kahīñ milā nahīñ
pata chalā ki maiñ to ḳhud ko bāñTne meñ rah gayā
bikhar ke aise waqt ke main zalzale mein rah gaya
ki lamha lamha KHud ko bas sameTne mein rah gaya
Thahar ke jaane kya safar mein sochne mein rah gaya
chala to apne sath tha main raste mein rah gaya
wo sach ki shakl mein bharam ka de raha tha ek guman
ajib sa KHayal tha jo hafize mein rah gaya
jo ji mein aaya zindagi wo baaten mujh se kah gai
idhar main soch soch kar hi bolne mein rah gaya
ek ajnabi se roz milna ho raha hai in dinon
na jaane kis ka chehra mere aaine mein rah gaya
mujhi mein thi tu zindagi to kyon kaha nahin mujhe
kahan kahan main tujh ko dekh DhunDne mein rah gaya
kabhi to is ko ek lamha ji ke dekhta koi
zamana zindagi faqat guzarne mein rah gaya
usi ki justuju mein to laga hai aadmi magar
sukun use mila jo KHud se rabte mein rah gaya
sadaen KHud ko lakh din magar kahin mila nahin
pata chala ki main to KHud ko banTne mein rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.