bikhar na ja kahin KHud ko meri panah mein rakh
bikhar na ja kahin KHud ko meri panah mein rakh
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
bikhar na jā kahīñ ḳhud ko mirī panāh meñ rakh
haiñ tund-o-tez jo dariyā mirī nigāh meñ rakh
jhuke na sar ye kisī āstāñ pe tere sivā
to vo ġhurūr-o-anā apne kaj-kulāh meñ rakh
ye kab kahā ki mohabbat se baaz rah lekin
palaT ke aa bhī sake rāsta nigāh meñ rakh
fareb-e-nafs se mahfūz to ho zaat mirī
kahīñ to ḳhauf koī lazzat-e-gunāh meñ rakh
rahegā baaz kahāñ dil bhalā mohabbat se
par ek harf-e-tasallī to intibāh meñ rakh
muqābla to alag baat hai havāoñ se
jalā ke ek diyā koī pahle raah meñ rakh
asiir huuñ na kahīñ dām-e-hirs-o-duniyā kā
hamārā shauq-e-talab apnī bārgāh meñ rakh
chhupe haiñ karb hazāroñ is ik tabassum meñ
guloñ kī chaah jo kar ḳhaar bhī nigāh meñ rakh
abhī ḳhabar hī kahāñ tujh ko soz-e-dil kyā hai
to qahqahoñ ko abhī ruuh kī karāh meñ rakh
yahī ujāle kabhī chhīn leñge bīnā.ī
zarā sā shauq añdheroñ kā bhī nigāh meñ rakh
bikhar na ja kahin KHud ko meri panah mein rakh
hain tund-o-tez jo dariya meri nigah mein rakh
jhuke na sar ye kisi aastan pe tere siwa
to wo ghurur-o-ana apne kaj-kulah mein rakh
ye kab kaha ki mohabbat se baz rah lekin
palaT ke aa bhi sake rasta nigah mein rakh
fareb-e-nafs se mahfuz to ho zat meri
kahin to KHauf koi lazzat-e-gunah mein rakh
rahega baz kahan dil bhala mohabbat se
par ek harf-e-tasalli to intibah mein rakh
muqabla to alag baat hai hawaon se
jala ke ek diya koi pahle rah mein rakh
asir hun na kahin dam-e-hirs-o-duniya ka
hamara shauq-e-talab apni bargah mein rakh
chhupe hain karb hazaron is ek tabassum mein
gulon ki chah jo kar KHar bhi nigah mein rakh
abhi KHabar hi kahan tujh ko soz-e-dil kya hai
to qahqahon ko abhi ruh ki karah mein rakh
yahi ujale kabhi chhin lenge binai
zara sa shauq andheron ka bhi nigah mein rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.