bikhar rahi hai jo quwwat wo phir munazzam ho
bikhar rahī hai jo quvvat vo phir munazzam ho
shikast ho to zarūrī nahīñ ki mātam ho
sitāre samt-numā haiñ to iktifā kaisī
zamīn par bhī kahīñ jugnuoñ kā parcham ho
vo vaqt peT pe patthar hī bāñdhne kā hai
ki jab zamīn pe hī ḳhandaqoñ kā mausam ho
vahī to vaqt munāsib hai mo.ajize ke liye
kuchh aur ātish-e-qaht-o-muhāl barham ho
talāsh karte hue ā.eñge harārat-o-nūr
abhī na sho.ala-e-ba.as-e-navāz maddham ho
bikhar rahi hai jo quwwat wo phir munazzam ho
shikast ho to zaruri nahin ki matam ho
sitare samt-numa hain to iktifa kaisi
zamin par bhi kahin jugnuon ka parcham ho
wo waqt peT pe patthar hi bandhne ka hai
ki jab zamin pe hi KHandaqon ka mausam ho
wahi to waqt munasib hai moajize ke liye
kuchh aur aatish-e-qaht-o-muhaal barham ho
talash karte hue aaenge hararat-o-nur
abhi na shoala-e-bas-e-nawaz maddham ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.